Thursday, March 15, 2012

Zindagi ki inn raahon me...



Ji karta hai zindagi ki in raho me do kitabein likhu...
Ek sabko padhau aur dusri sabse chhupa kar rakhu... 

Kucchh achi baatein likhu....
kuchh dard ke saaayei likhu....
kuchh khilkhilate panne fadfadaye...
kuchh gham ke aankh michoye....
Kuchh pyar se bhini hui palke....
Toh kuchh yaar se ruthi hui manke...

Ji karta hai zindagi ki in raho me do kitabein likhu...
Ek sabko padhai aur dusri sabse chhupa kar rakhu...

Kuchh aise wakya likhu..
jinhe sunate hi beete hue waqt ki khushi mile....
Kuchh aise wakya likhu..
jinhe sunte hi aaj ke hone ka afsos ho...ji tilmilaye....
Zindagi ki kahani ek narm fulo ke saaye me toh kabhi sawar nahi sakti....
Pyar har pal har waqt sirf khushi hi de yeh mai hamesha soch nahi sakti....
Yaadon bhara dariya bina gahraiyon ke jhalak nahi sakta....
Yeh zindagi hai mere dost....bina khathe meethe palo ke beet nahi sakta....

Ji karta hai zindagi ki in raho me do kitabein likhu...
Ek sabko padhai aur dusri sabse chhupa kar rakhu...

1 comment:

Anonymous said...

Zindgai ki inn raho mein ek kitab likho
usme badi sari khushiya aur thode saare gum likho,
Khushiyo ko khoobsoorat shabdo se sajao,
aur gumo ko shabdo ki herfer mein chuppao
aur fir ye kitab sabko padhao,
fir zindagi ki inn raho mein ek kitab likho...