Monday, January 20, 2025

Bahot din hue(The Denial)

Bahot din hue, khayalo se baatein nahi ki

Kho ke bas yuhin khayalo me raatein nahi ki

Khamoshi ko door rakha mere khayalo se

Chupke se koshish ki, rakha takiye ke sirhaano pe

Guhm hoke bas taalte rahe aise hi

Naa shikayaton naa zikr me bhi aane dia.


Kaise kar lete hain?

Achha! dimag ko bas hisse me kass ke rakh lete hain.

Ek hisse me saare taale pade hisab maangte woh khayal

Aur ek me woh khushnasibi wale itraate hue kamaal.


Bahot din hue,

Hum humse hi na mile na baithe

Khayalo me khone se darte hue

Pahiye chala rahein hain bina panchar banaye

Jeeye ja rahein hain bina waqif hue

Par na shikwa kisi se , na hi hai shikayat

Hum toh hum hi hain na…

yeh fitrat hi hai aise, aur adayat!









No comments: