Ji karta hai zindagi ki in raho me do
kitabein likhu...
Ek sabko padhau aur dusri sabse chhupa kar
rakhu...
Kucchh achi baatein likhu....
kuchh dard ke saaayei likhu....
kuchh khilkhilate panne fadfadaye...
kuchh gham ke aankh michoye....
Kuchh pyar se bhini hui palke....
Toh kuchh yaar se ruthi hui manke...
Ji karta hai zindagi ki in raho me do
kitabein likhu...
Ek sabko padhai aur dusri sabse chhupa kar
rakhu...
Kuchh aise wakya likhu..
jinhe sunate hi beete hue waqt ki khushi
mile....
Kuchh aise wakya likhu..
jinhe sunte hi aaj ke hone ka afsos ho...ji
tilmilaye....
Zindagi ki kahani ek narm fulo ke saaye me
toh kabhi sawar nahi sakti....
Pyar har pal har waqt sirf khushi hi de yeh
mai hamesha soch nahi sakti....
Yaadon bhara dariya bina gahraiyon ke
jhalak nahi sakta....
Yeh zindagi hai mere dost....bina khathe
meethe palo ke beet nahi sakta....
Ji karta hai zindagi ki in raho me do
kitabein likhu...
Ek sabko padhai aur dusri sabse chhupa kar
rakhu...
1 comment:
Zindgai ki inn raho mein ek kitab likho
usme badi sari khushiya aur thode saare gum likho,
Khushiyo ko khoobsoorat shabdo se sajao,
aur gumo ko shabdo ki herfer mein chuppao
aur fir ye kitab sabko padhao,
fir zindagi ki inn raho mein ek kitab likho...
Post a Comment